यह पोस्ट हाल ही में अपडेट की गयी है : December 7th, 2020
Hello dosto pichhli bar humne sikha tha ke youtube se paise kaise kamaye? aur maine aap ko achhe achhe youtube video ideas bhi diye the. Youtube se paise kamane ke liye ek acha youtube par channel bhi hona chahiye jisko hum google adsense se monetize karke ache paise kama sakte hai to aaj hum isi bare me baat karne waale hai ki Youtube par channel kaise banaye aur adsense se link kaise kare?
Youtube pe aaye din videos ki bharmar hai, ek se ek high quality comedy, entertainment, music, vlogging videos aa rahe hai aur unse log bahut accha paisa kama bhi rahe hai.
Media aur entertainment companies bhi youtube partner programme ka fayda utha rahi hai. Kyun na aap bhi is business ka hissa bane.
Youtube par Channel Setup
Apna youtube channel delete aur google plus page pe move kar sakte hai. Agar apke ek username me jyada channel hai to yahan se particular default channel set kar sakte hai. Advanced option ka use karke aap apni authorised site ko apne channel ke sath link kar sakte hai.
- Status And feature: Yaha se hum apne youtube par channel ka status jaise kon-konse features apne channel me enable hai dekh sakte hai. Jo feature apke channel me enable hai wo apko green points me indicate karenge. youtube ke advanced feature ka use karne ke liye hume apne channel ko verify karna bahut zaroori hai iske liye account status me apke naam ke samne verify ka option dikhega us pe click karenge to ek new window open hoga usme apni country select kare aur apna mobile no. enter kare verify button pe click kare, aapke pas ek message aayega jisme verification code hoga wo enter karenge to aap ka channel verify ho jayega.
- Monetization: apne channel ko profitable banane ke liye is feature ka use kar sakte hai, Yahan se youtube par channel ko google adsense se link karke apne viewer ko ad serve karke un third party advertisement se money earn kar sakte hai, Is link ko click karke youtube channel ko adsense ke sath link kar sakte hai. Adsense monetization ke liye is post me age padhe.
- Upload default: Jab hum youtube par channel bnane ke bad bar bar videos upload karte hai to hume videos ke liye bar bar details jaise license, privacy, category etc fill karni padti hai, iske liye youtube ne new feature start kiya jisme hum ek bar set karne ke bad jab videos upload karenge to bar bar details fill karne ki jarurat nahi padegi. Use default pe click karke individual videos ke liye default settings set kare taki apko bar-bar set na karna pade.
- Feature Content: Agar apka koi khas video ya playlist hai to usko as feature content set kar sakte hai. Apne apne channel ko promot karne ke liye koi video ad banaya hai to yahan apne video me se select kare.
- Branding: Branding option ka use karke aap apne videos pe apne brand ka watermark (logo) de sakte hai aur unki time limit set kar sakte hai jaise ki logo ko pure video ya start or and me show karna hai.
- Advanced: option me aap apne channel ka naam, icon, country, channel keyword etc change kar sakte hai. Apne channel ko google adword ke sath link karke apne channel ko advertise (promote) kar sakte hai.
- Associate website: Is option ka use karke aap apni website ko apne youtube channel ke sath link kar sakte hai. Iske liye apko apni website ka pura url dalke click karenge to automatically apke webmaster tool me redirect ho jayega jahan se apko apne domain provider ka user name & password dalenge to successfully verify ho jayega.
- Google analytic: Google analytics property id ka use karke hum apne youtube channel ke data, traffic etc track kar sakte hai.
Youtube par channel banane ke bad Adsense se link kare
Apko apne channel ko adsense se link karne se pahle uspe kuchh video upload kare uske bad hi is process ko complete kare.
1. Apne youtube account me right hand corner me profile icon pe click kare aur vaha se drop down menu me creator studio pe click karke menu me se channel > monetization pe click kare ya Is direct link pe click karke bhi enable my account ke option pe ja sakte hai. New window me youtube partener programme ke term padhe aur accept kare

3. Link my account pe click karne ke bad apke samne upar image me dikhaye anusar ek aisi window khulegi jahan pe apko apne language select karni hai
Agar aapke content hindi me hai to hindi select kare.
4. Ab apke samne ek new window open hogi jisme aapko ye application form bharna hai.
- Country me india select kare.
- Time zone me +5:30 select kare.
- Kis tarah ka account lena chah rahe hai Individual or business select kare.
- Apna original name dale jo apka bank account record me hai.
- Correspondence ke liye apna correct complete address dale. kyunki adsense team se aapke pas is address pe ek letter aayega jisme verification code hoga aur wo code apko apne adsense account me dalna hai uske bad hi payment milega.
- Adsense email preferences me “yes” select kare.
- Submit my application pe click kare Application submit karne ke bad aapka adsense account youtube channel se link ho jayega aur account review ke liye apke pas adsense team se mail aayega. Aapka account approve hone ke bad apki earnings start ho jayegi.
Sayad is article ko padhne ke bad apko apna channel banana, set up karna aur adsense se link karna samajh me aa gya hoga. Dosto yakin maniye ye ek bahut hi achha option hai online money generate karne ka.
Nice Post Sir Aapke Step ko Follow kar ke mene 1 acoount banaya hai thank you Share This Article
Very nice post
Sir help mere se AdSense account nahi ban rh
Hello Sir Muje Ek Help Chahiye Meri eK Website Hai freehindihelp.com Us Me mujhe visiter badhana hai to koi tips ho to batao.Me Blog me naya hu pls help me. Post ke liye best keywords kaise praprt kare
Apko adsense account kiske liye chahiye. You tube or website. Youtube contents ko adsense se monetize karna bahut asan hai aur site ke liye agr apko adsense chahiye to apko pahle adsense ki policy ke anusar about us, contact us, sitemap, privacy policy aur disclaimer page bnana hoga aur ek achha sa clean template aur custome domain lena hoga. Sath me 10 -15 ache-ache post hone chahiye fir adsense ke liye apply kar sakte ho.
Kalpesh ji sabse pahli baat visitor apki site pe tab aayenge jab aapke content achhe honge. Kyunki acche content ko search engine rank achhi deta hai sath me SEO ka bhi dhyan rakhe iske liye. High quality backlinks bnaye jisse aapki site ki search rank improve hogi. Back link bnane ke liye rgular relevent blogs pe comment kare. Blog ko directories me submit kare aur achhe rich & unique contents banaye.
Kalpesh ji ye post padhe… http://www.techaruby.com/2016/06/create-a-successful-blog.html
Txxx Bro
Sir Maine apne YouTube channel ko adsence se connect kar diya or mujhe google adsence se mail bhi Aa gayi apka account approved kar diya gaya
Sir mere adsence me abi payment ka option nahi Aa raha account kaise add karo sir help
Sir please help me adsence se code kab aayega usko kaise kab dala jata hai
Ravi ji adsense se ad codes aapki website adsense se approve hone ke baad milenge. Aap jab apni site ko adsense me approval ke liye submit karoge to adsense aapke blog ko review karega ki aapki site adsense programme policy ke anusar eligible hai ki nahi. jab aapka adsense account approve ho jayega to aap ad codes site pe add kar sakte hai.
ye payment ka option tab aayega jab aapki adsense ke initial earning 100 USD ho jayegi. Uske baad aap account add kar payenge.
Hello muje youtube per subscribe nhi mil raha h please help me
Sir jab hum ek you tube channel banate hai or pher use AdSense se link karte hai to kya AdSense id you tube vali id honi chahiye ya koi or id bhi use kar sakhte hai…….or sir kya AdSense account ke liye gmail id honi chiye ya nhi……….
Dear ankit jee gmail ki hi id honi chahiye. Aur same gmail id jisko aap adsense aur youtube dono ke liye istemal kar sakte hai…..
Dear humanshi jee Youtube par subriber banane aapke video ki quality aur kis tarah ke contents upload krte hai aap uspe depend karta hai. Aap video upload karne ke bad unko social sites pe jyada jyada se share kare aur patience rakhe. Dhire dhire subscribe judne lag jayenge. Kya aap btayegi ki aap ka youtube channel kis bare me hai. Comments me apne channel ka link dale.
Sir 2 step me baad mobile me code ata he kya kare
bahut Aacha post he
nice information keep it up
Thanks for post
Sir thank you so much..You tube channal kaise banaye iske baare me google par kaafi post milti hai lekin sir aapne jo post likhi hai vaisi kahi par nahi hai Thank you again.Sir mene ek blog banaya hai 5 post publish ki hai. Me chahta hu ki aap mere blog par visit kare our mujhe bataye ki mene kaisa blog banaya hai.
bhai youtube channal ka url / link kaise banaye