Mene apni pahli post me btataya tha ki youtube se paise kese kamate hai? aaj hum bat karenge Best ideas youtube video ke bare mein, ki youtube pe kis tarah ke video upload kar sakte hai. Hum jab youtube se paise kamane ka sochte hai to hamare dimag me ye jarur ayega ki akhir hum videos banaye kispe confuse ho jate hai, 100 sawal mann me uthne lag jate hai.
to is uljhan ko dur karne ke liye sabse pahle ye consider karein ki apka niche kya hai mera matlab apka interest kisme hai. iske liye aap ek kam karein ek notebook le aur jitna bhi aap sochte hai number se unko write kardein,
jin-jin bare me aap video banane ki sochte ho fir unko kuch waqt ke liye concentrate kare aur apna pka interest dhundne jab aapko lage ki aap ko apna pka interest mil gya fir aap apna age ka kaam start karein.
Ye kuch best ideas hai jinpe aap focus karke apne niche ko dhundh sakte hai aur youtube se money earn karne me successfull ho sakte hai. Aap kisi dusre ko copy na karein jo video banaye khud banaye.
Top 30 ideas youtube video ke liye
1.Game play
Top 30 ideas youtube video ki list me Gameplay pahle number par hai. Gameplay jo ki youtube pe bahut hi popular hai. Agar apko game khelne ka shok hai chahe vo ply station ho ya computer aur mobile games. Aap apne game ko record karein aur thoda sa usme edit karein.
jab aap record kare tab apne web cam ko on karke apne expression aur voice bhi us game me mix kar sakte hai. aise videos logo ko bahut pasand aate hai. thoda competition hai par aap try kar sakte hai.
2.Screen cast
Hum apne computer ya apne smart phone ko casting karke tutorial bana sakte hai. jis software ya jo app hume use karni aati hai usko screen cast karke thoda usme apni voice mix karte huye ek bahut hi achha tutoria banake logo ko samjha sakte hai.
Aap apne phone me bhi koi app s, games ya functionality ke bare me cast karke video bana sakte hai.
Abhi google play ne game record karne ka option suru kiya hai aur sabhi developer ko ye function apne games me add karne sujhav diya hai.
3.Fashion
Agar aapko fashion ka shok hai to aap fashion se related videos bana sakte hai
jaise hair style, makeup tutorial, clothing style etc
Ajkal fashion ka bahut craze hai kyunki sabhi fashion use karte hai aur sabhi log fashion ke liye kuchh naye tips dundhte hai chahe vo tv ya iternet.
Ye apke liye bahut hi best option hai jarur try karein.
4.Product review
Yeh ek bahut hi trending niche hai kyonki abhi apne india me bhi america, uk ki tarah online shopping ka bhi vistar ho rha hai.
Jab koi product launch hota hai to log kharidne se pahle uske bare mein internet pe search karte hai ya tv pe ads dekhte hai ki jo vo kharidne ja rahe hai vo achha product hai kya aur decide karte hai uska review dekhne ke bad.
Aap product review kar sakte hai kisi product ko unboxing karke yani pack kholke uske feture, specification, price, good thing aur bad thing se ke video bana sakte hai.
5.Parody
Famous star, Actor, celebrity ke jokes mimcry aur parody video bana sakte hai.
Parody videos youtube hamesha hi best videos hai jinko log bahut pasand karte hai.
Aap celebrity ki nakal ya majakiya videos bana sakte hai.
6. Filming Others
kisi dusre ko bhi fiming akrke videos bana sakte hai jaise ki aapka friend comedy karta hai ya aapke ghar me koi majakiya hai ya kahin aap apne friend ke sath koi prank karne vale hai bahut achha option hai ki apna camera nikal ke filming ki jaye.
Aise videos bahut jaldi hi viral ho jate hai, par jab kisi ko record kar rahe ho to us insan ki permission honi chahiye. bina permission ke video shoot karna violation hai.
7.Kitchen videos
Apko agar bahut achha khana banana ata hai, ya aap bahut achhe chef hai to aap apne kitchen me jab khana banaye to uska video jarur record kare thoda sa style lagaye jaise hum tv kitchen recipe programmes dekhte hai ya master chef sanjeev kapoor ke style me kitchen videos shoot kar sakte hai.
Jo recipe hum record karte hai uske liye logo kop tips de skte hai.
Dekhiye ek middle age woman
nisha madhulika simple way me recipe bata rhi hai aap bhi try karein!
8.Animal love
Agar animal yani aap pet se bahut lagav hai to aap unke sath apne achhe bitaye huye moments camera me capture kar sakte hai, unke funny style videos bana sakte hai isse hum logo me animal love spread karenge.
9.Funny baby
Agar apke ghar me cute baby hai to kyun nahi apne baby ko hi screen me record kiya jaye. chhote babies bahut hi cute hote hai funny hote hai.
Har kisiko baby se pyar hota hai aap isse bahut sare audience engage kar sakte hai.
10.Dance & Music
Agar aap achhe singer ya dancer hai to aap apne dance ya music video record karke youtube pe share kar sakte hai.
Aap logo ko music ya dancing steps ke tutorial matalab apne videos ke through sikha bhi sakte hai.
11. Fitness
Agar aap health ke liye concious hai aur apko fit rahna achha lagta hai to ya aap daily jogging, yoga, or workout karte hai to apne videos shoot karke youtube pe share kar sakte hai aur logo ko fit rahne ke ideas de sakte hai.
Aap gym lover ya fitness instructor hai to ye apke liye bahut hi achha hai ke aap apne gym instruction ki filming jarur karein isse aapke business ya apke profession ko bhi publicity milegi aur aap youtube pe apne videos post karke paise bhi kama sakte hai.
12. Travel
Agar apko ghumna pasand hai ya aap bahut jyada travel karte hai to ye bahut hi achha option hai apke pas bas apna camera len aur jahan bhi jayen record karein.
Travel destination ke bare me logo ko guide karein.
13.People reaction
Logo ki reaction yani ki log kisike bare me kya react karte hai record ki ja sakti hai.
Jab bahut vakt ke bad log milte hai, ya kuch incident hota hai logo ki partikirya record ki ja sakti hai.
14.Shopping
Jab aap shopping pe jate ho ya kisi maul ghumne ate ho. Aap apni puri shopping ki list banane se leke jab aap store me purchase kar rahe hote ho pura video record kakr youtube pe share kar sakte hai.
Apne expenses ko bhi logo ke sath share kar sakte hai, Shopping ke bare me logo ko tips bhi de sakte hai.
15.Video tour
school, college, office ya apne ghar me agar kisi apne friends ya customer ko visit kara rahe ho to record kar sakte ho.
16.Holiday videos
Holiday ke video record karke share kar sakte hai aur achhe holiday destination ko logo ke sath share kar sakte hai.
17. Vlog
Vlog matalab video log, yeh ek simple sa tarika hai ki jo bhi aap karte ho jahan bhi jate ho apni entire life shoot kar sakte ho usme thodi comedy thoda pyar adventures, joke mix aur thodi si editing, hai na asan sa. jarur try karein.
18.Favourite videos
Agar aap daily youtube ya kisi dusri site pe video dekhte hai to un video ko rating yani number de sakte hai aur apne favourite video ke bare me logo ko bata sakte hai.
19.Challange videos
Challenge videos bhi youtube pe bahut hi papular hai. Hum apne friend ya family member ke sath sath challenge kar sakte hai jaise ki ice bath, singing etc aur un challenges ko pura karne ke video banake youtube par share kar sakte hai.
20.Accessories collection
Agar apko accessories jaise devices, phones, tabs, ya other jewellery, collection ka shok hai to jarur video banaye.
21.Kids school videos
School kids bhi apne school videos, home work, ya dusre kids ko tips dene ke video bana sakte hai.
22.Morning routine
Morning routine ke video jaise jogging, news paper ke bare me, koi achhi bur khabar jo tv channel ya newspaper me padhte hai ya gardning karte hai, inke videos banake share kar sakte hai.
23. Question & Answer
Agar aap online establish hai ya aap ki fan following bahut badi hai, apke fans apse question karte hai to aap unke answer video banake dein. apke subscriber apke bare me kya kahte hai unke rection ke video bhi bna sakte hai.
24. Family videos
Aap apne family members aur unke reaction ke videos shoot kar skte hai.
Dusre ke comments pe comment deke videos bana sakte hai.
26.Corruption expose
Agar anti corruption ke bare me sochte hai to jahan bhi apko corruption dikhe aap expose kar sakte ho isse aap socity ke liye achha kam hoga aur apka video ban jayega.
Dhyan de ye risky bhi ho sakta hai,
27. Home decor
Agar apko interior design karne ka shok hai to aap apne ghar ko hi design kar sakte hai aur videos ke through apne audience ko bhi sikha sakte hai.
home decor se jude tips de sakte hgai.
28.Boyfriend V/S Girl friend
Girlfriend, boyfriend apni daily life ke videos, jokes, challenges,naughty video share kar sakte hai.
jaise mera favourite jesse and jeana @
BFvsGF29.Magic videos
Agar apko koi magic ya tricks ati hai to jarur video banake share karein
30.Tutoring
Agar aap kisi subject ya service dene me expert hai jaise ki maths, chemistry, physics ya computer language, software etc.
Apne subject tutoring ke videos banake share karen
Final words
Aap painter, musician ya kuch bhi aap ko aata hai apni kala ko pehchane aur apna work youtube ke through logo tak pahuchaye isse aap youtube ko apni living ka jariya bana sakte ho.
Aap jis bhi field se belong karte hai youtube se earn karne ke liye jarur koshis kare.
Mujhe ummid hai ki apko ye top 30 ideas youtube video banane ke liye jarur pasand aaye honge.
Agar iske bare mein koi sawal ya sujhav hai to jarur comments me likhe aur agar apko koi other ideas hai to aap bta sakte hai.
sir youtube kar padane ke liye jo slide wala fuction hai usaki full jankari de
Aap apna sawal clearly mention kare please. Aap kis bare me puchhna chah rhe hai smjh nhi aya.
Sir..game playing ka video kaise banate hai,jaise game ko record karna,voice dalna..
बहुत ही अच्छा ब्लॉग है आपका पहली बार आई हु पर आपका ब्लॉग जानकारी से भरपूर है धन्यवाद इतने बढ़िया आर्टिकल के लिए
इसका क्या मतलब है हमें बताएं
Admiring the time and energy you put into your site and detailed information you offer. It's good to come across a blog every once in a while that isn't the same out of date rehashed information. Excellent read! I've saved your site and I'm adding your RSS feeds to my Google account. yahoo mail login
Sir Roj Roj Technical Videos Ke ideas kaha se laaye
Sir,Youtube par product reviews ka video kaise banaye?
Kya hum jo product review ka video banate hai to Company free me wo cheez humko deti hai ya paise deti hai?
Product reviews karne ke liye company se kaise contact kare?
Kya Koi bhi company hame product review bana de sakati hai? Jiase ki (samsung,iphone,redmi)
Please jaldi answer dijiyega please
sir kya movies ke kuch special part jaise comedy scan ya phir motivation part ke video cut krke channel bna skte. Ye copyright to nhi hoga.