यह पोस्ट हाल ही में अपडेट की गयी है : December 7th, 2020
Hello dosto, Is post me hum janenge ki blogger template ko kaise customize kare? Blogger me blog banane ke bad sabse pahle blog design ko hi importance di jati hai.
Agar blog template ka design achha hai to website visitor apni website pe kuchh waqt thahrte hai chahe content jyada ho na ho.
Agar hamari website pe achhe content ya achhi information ho aur website ka design achha na ho to bhi hamare blog ke liye koi faydemand sabit nahi hota.
Waise Blogger me default templates, gadgets bahut hi kam hai isliye blogging platforms me wordpress ko bahut hi jyada pasand kiya jata hai. Par newbie ke liye wordpress pe blogging karna thoda expensive padta hai kyon ki wordpress me monthly domain, hosting charges, premium plugins etc ke charge pay karne padte hai. Jabki blogger bilkul free platform hai aur new users ke liye sikhne me bahut easy hai.
Badhiya sa blog design (template), High quality long length content, thoda sa SEO(search engine optimization) planning aur custom domain use karke blogger blog ko google adsense se monetize kiya ja sakta hai aur profitable banaya ja sakta hai.
Blogger Template customization
- Page text: me blog post ke fonts aur text color change kar skte hai.
- Backgrounds: Isme blog ka outer, main aur header backgrounds change kar sakte hai.
- Links: Link color, Visited color aur hover color change kar sakte hai.
- Blog title: Apne blog title ka font aur font color change kar sakte hai.
- Blog Description: Blog ki description ka color change kar sakte hai.
- Tabs text: hamare blog ki navigation menu bar ke font aur font color change kar sakte hai.
- Tabs background: Navigation menu ke tabs ka background color change kar sakte hai.
- Post title: Post ka title color change kar sakte hai.
- Date header: Blog post me date header ka font, text color aur background color change kar sakte hai.
- Post footer: Post footer me author, label, social media text, dates ka text color, background color aur shadow color change kar sakte hai.
- Gadgets: Blog gadgets ke title font, title color aur alternate color change kar sakte hai.
- Images: Post me images use karte hai unka border, background aur caption text color change kar sakte hai.
- Accent: Isme blog post body aur sidebar separator line ka color aur tabs boarder color change kar sakte hai.
- Mobile button: Mobile template me mobile button color change kar sakte hai.
- Add css: Add css me apne blog design ko change karne ke liye custom css code ka use kar sakte hai.
Choose mobile template
Aap “no. Show desktop template on mobile devices” select karke mobile template disable bhi kar sakte hai.
Upar jo aap likhe hai tech aruby wo design hum kaise likhe pls help
Ise aap picmonkey.com se online bna skte hai.
mera blog ka url-www.indiaweblink.com hai check karke bataye ki mere blog me kya kami hai aur mujhe aage aur kya progress karni chahiye
Dear sharuf khan thank you for visiting my blog.
aapne bahut achha blog banaya hai bas aapke blog me auto pagination ki problem hai jiski vjh se home page se kuch post gayab hai iske liye aap page break ka use kare aur image compress karke dale. auto pagination ki jyada jankari ke liye ye post padhe….http://www.techaruby.com/2016/04/blogger-auto-pagination-solution.html
bhai apki templtes konsi hai aur isme jo share button hai wo hum kaise use karen
Ye template "Magone" hai jo maine themeforest se purchase kiya hai. Aap ise cheap price $21 pe themeforest se purchase kar sakte hai. Isme share button Addthis se lagaye hai. Addthis.com pe register karke iski free service jaise share button, form etc ka use kar sakte hai.
Good article
it is nice content thanks
Blogger Templates Customise Kaise Kare